Godown mein maal aana, site par bhejna (challan ke saath), site se wapas lena, ek site se doosri par shift karna — aur har material ka live stock.
Approval ke baad yahan aate hain. "Dispatch karein" dabayein — material list apne aap bhar jayegi, zarurat ho to badal dein.
Site chunein, material aur quantity daalein. Bucket/Bag ke bajaye loose bhejna ho to Unit mein Kg / Ltr chunein. Save karte hi challan banega aur godown ka stock kam ho jayega.
Har line mein material, packing (Unit) aur quantity. Godown ka stock turant badh jayega.
Site chunein — wahan jo maal bacha hai uski list aa jayegi. Jitna wapas aa raha hai utna likhein. Site ki material cost utni kam ho jayegi.
Jis site par maal bacha hai use chunein, phir jis site par bhejna hai. Maal ki cost bhi pehli site se hat kar doosri site par lag jayegi.
Franchise se TBC, Franchise se Franchise, C&F se Franchise — kisi bhi godown ka maal doosre godown mein bhejein. Franchise band ho jaye to uska stock yahin se TBC ya doosri franchise ko de dein. Sales Return = franchise / C&F ne company ko maal wapas kiya (Company Godown mein aata hai).
Balance = Inward − Dispatch + Return (± adjustment). Har cheez base unit (Kg / Ltr / Sqm) mein, saath mein kitne bucket/bag banenge.
Yahan wahi godown dikhte hain jo kaam ke hain: Company godown, aapke banaye C&F / godown, aur jin franchise godown mein maal hai ya jinhe aapne jodha. Khaali godown "×" se hata sakte hain.